kamal-e-zabt ko khud bhi to aazmaungi main apne hath se us ki dulhan sajaungi supurd kar ke use chandni ke hathon mein main apne ghar ke andheron ko laut aaungi badan ke karb ko wo bhi samajh na paega main dil mein roungi aankhon mein muskuraungi wo kya gaya ki rifaqat ke sare lutf gae main kis se ruth sakungi kise manaungi ab us ka fan to kisi aur se hua mansub main kis ki nazm akele mein gungunaungi wo ek rishta-e-benam bhi nahin lekin main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukaungi bichha diya tha gulabon ke sath apna wajud wo so ke utthe to khwabon ki rakh uthaungi samaaton mein ghane jangalon ki sansen hain main ab kabhi teri aawaz sun na paungi jawaz dhund raha tha nai mohabbat ka wo kah raha tha ki main us ko bhul jaungi