samundar mein utarta hun to aankhen bhig jati hain teri aankhon ko padhta hun to aankhen bhig jati hain tumhaara nam likhne ki ijazat chhin gai jab se koi bhi lafz likhta hun to aankhen bhig jati hain teri yaadon ki khushbu khidkiyon mein raqs karti hai tere gham mein sulagta hun to aankhen bhig jati hain na jaane ho gaya hun is qadar hassas main kab se kisi se baat karta hun to aankhen bhig jati hain main sara din bahut masruf rahta hun magar junhi qadam chaukhat pe rakhta hun to aankhen bhig jati hain har ek muflis ke mathe par alam ki dastanen hain koi chehra bhi padhta hun to aankhen bhig jati hain bade logon ke unche bad-numa aur sard mahlon ko gharib aankhon se takta hun to aankhen bhig jati hain tere kuche se ab mera talluq wajibi sa hai magar jab bhi guzarta hun to aankhen bhig jati hain hazaron mausamon ki hukmarani hai mere dil par 'wasi' main jab bhi hansta hun to aankhen bhig jati hain