mazdur hain ham, mazdur hain ham, majbur the ham, majbur hain hum insaniyat ke sine mein rista hua ek nasur hain hum daulat ki aankhon ka surma banta hai hamari haddi se mandir ke diye bhi jalte hain mazdur ki pighli charbi se hum se bazar ki raunaq hai, hum se chehron ki lali hai jalta hai hamare dil ka diya duniya ki sabha ujyali hai daulat ki sewa karte hain thukrae hue hum daulat ke mazdur hain ham, mazdur hain hum sautele bete qismat ke sone ki chatai tak bhi nahin, hum zat ke itne hete hain ye sejon par sone wale shayad bhagwan ke bete hain hum mein nahin koi tabdili jade ki pali raaton mein baisakh ke tapte mausam mein, sawan ki bhari barsaton mein kapde ki zarurat hi kya hai mazduron ko, haiwanon ko kya bahs hai, sardi garmi se lohe ke bane insanon ko hone do charaghan mahlon mein, kya hum ko agar diwali hai mazdur hain ham, mazdur hain ham, mazdur ki duniya kali hai mazdur ke bachche takte hain jab hasrat se dukanon ko mazdur ka dil deta hai dua dewtaon ko, bhagwanon ko khaya mitti ke bartan mein, soe to bichhaune ko tarse mukhtaron par tanqiden hain, be-chaargiyan majburon ki sukha chehra dahqanon ka, zakhmi pithen mazduron ki wo bhukon ke an-data hain, haq un ka hai be-dad karen hum kis darwaze par jaen kis se ja kar fariyaad karen bazar-e-tamaddun bhi un ka duniya-e-siyasat bhi un ki mazhab ka irada bhi un ka, duniya-e-siyasat bhi un ki paband hamein karne ke liye sau rahen nikali jati hain qanun banae jate hain, zanjiren dhaali jati hain phir bhi aaghaz ki shokhi mein anjam dikhai deta hai hum chup hain lekin fitrat ka insaf duhai deta hai uth baithe angdai le kar jo ghaflat ka matwala hai aakash ke tewar kahte hain, tufan phir aane wala hai ek abr ka tukda aata hai, ek abr ka tukda jata hai ya khwab-e-pareshan duniya ka baala-e-faza mandlata hai chalti hai zamane mein aandhi shaer ke tund khayalon ki is tez hawa mein khair nahin hai unchi pagdi walon ki ehsas-e-khudi mazlumon ka ab chaunk ke karwat leta hai jo waqt ki aane wala hai dil us ki aahat leta hai tufan ki lahren jag uthin so kar apne gahware se kuchh tinke shokhi karte hain sailab ke sarkash dhaare se mindil saron se girti hai aur panw se rondi jati hai sine mein ghataon ki bijli, bechain hai kaundi jati hai manzar ki kudurat dho degi dharti ki pyas bujhaegi mausam ke ishaare kahte hain ye badli kuchh barsaegi ye abr jo ghir kar aata hai, gar aaj nahin kal barsega sab khet hare ho jaenge jab tut ke baadal barsega