london mein jashn-e-hazrat-e-'ghaalib' ki raat thi tarikh-e-shaeri mein ye ek wardat thi is jashn mein sharik the har mulk ke wafud hal ho gaya tha masala-e-wahdat-ul-wajud jannat se mirza ko jo kankard le chala pur ho gaya safar se jo tha rah mein khala mirza ke pas box mein tambaku thi faqat custam ke afsaron ne use samjha hi ghalat afsar ne passport jo un se talab kiya kahne lage ki aap ne ye kya ghazab kiya sach baat to yahi hai wo ab nek ho ki bad mulkon ki sarhadon ko nahin mante 'asad' tarikh ki hai fikr na jughrafie ki hai shaer hun main talash mujhe qafiye ki hai aam aadmi ki tarah mera passport kyun main andalib-e-gulshan-e-na-afrida hun main kab yahan makan banane ko aaya hun london mein apna jashn manane ko aaya hun angrez ke qaside jo likkhe the yaad hain nazmen kuchh aur bhi hain jo muhtaj-e-dad hain mujh ko numud-o-nam ki parwa nahin magar bulwaya bbc ne to pahunchunga waqt par 'ghaalib' jo restoran mein pahunche ba-waqt-e-sham baire se ye kaha ki karo mera intizam mangwao wo jo aatish-e-sayyal pas hai is balghami mizaj ko garmi hi ras hai stage par jo ho gae ab jalwa-gar asad ustad 'zauq' jalne lage az-rah-e-hasad nazim mushaere ka ye bola ki hazirin 'ghaalib' ko dekhne ko na aaen tamash-bin 'ghaalib' ki shakhsiyyat mein mahasin hain be-shumar ye aadmi wali tha na hota jo baada-khwar ye shakhs jis ko waqt ne budha banaya hai hum ne ise baraat ka dulha banaya hai biwi se baat kije na sali se puchhiye 'ghaalib' ka kya maqam hai haali se puchhiye sehhat se kam nahin hai use bahra-pan ka rog bahra jo is ko kahte hain be-bahra hain wo log be-tegh kyun ladega ye shaer jo hai jari sau pusht se hai pesha-e-aba sipah-gari ye chahta hai ghar mein teri jalwa-gah ho dekho ise jo dida-e-ibrat nigah ho tahzib o fan ko rang-e-mughal is ne de diya urdu ko ek taj mahal is ne de diya is ne zaban-e-'mir' ko hindi ka ras diya urdu ghazal ko is ne naya canwas diya 'ghaalib' jo apne jashn mein baithe hain shan se in ka kalam suniye ab in ki zaban se 'ghaalib' ne tis ghazlen sunain jo subh tak har sher note karta raha munshi-e-falak taqrib jab ye khatm hui subh ke qarib stage ko jo dekha to ghaeb the sab adib jalsa mein muhtamim ka bhi koi pata na tha dariyan thin gao takiye the aur shamiyana tha kya puchhte ho haal jo 'ghaalib' ka aaj tha pocket mein ek paisa na tha sar pe taj tha